Raat ka waqt tha, Mayank apne bedroom mein apni moving chair par baitha hua tha aur uske upar leta hua tha uska beta Abhyansh. Woh soya nahi tha, baar-baar woh apne haath mein pade apne papa ke phone ko dekh raha tha, kab uski mummy use call karegi. Lekin koi jawab nahi aaya. Mayank uske baalon par haath pher kar kehta hai, "Woh so gayi hogi, aaram karne do mummy ko."
Woh sir na mein hilata hai jaise ki kehna chahta ho ki nahi, woh abhi bhi intezar karega, uski mummy use call zaroor karegi.









Write a comment ...