Aaj Gaikwad Mansion bahut hi chamak raha tha. Bahar aur aaspaas ke hisson mein bhi lightings lagi hui thin. Itne saalon baad poora mansion is tarah se jagmaga raha tha.
Kal Anuradha ki god bharai hone wali thi. Subah ke liye decoration ka saara kaam aaj hi poora ho gaya tha. Shweta Anuradha ke paas baithi hui thi, aur Anuradha ki chhoti behan Manyata bhi uske paas thi. Manyata bahut pyaari thi. Shweta pehli baar Manyata se mil rahi thi aur soch rahi thi ki wah kitni pyaari bachchi hai. Manyata Shweta ke bhai ki umr ki hi thi.









Write a comment ...