Ayesha ke mata-pita samne ka bhayavah drishya dekhkar seham gaye. Agar ve log kuch der aur vahan ruk jaate, toh shayad sab kuch khatam ho chuka hota. Lekin unke dimaag mein bas ek hi sawaal thaβAyesha kahan hai? Kya vah andar reh gayi? Yeh sochte hi Ayesha ki maa ghabrakar chillane lagin aur andar jaane ki koshish karne lagin, lekin Ayesha ke pita ne unhein pakad liya.
Ayesha ki maa buri tarah ro rahi thin, baar-baar uski pukaar laga rahi thin. Unki halat behad kharab ho chuki thi.









Write a comment ...